Meri khudai kaa to himaalaya pighal gaya;
Teri nazar zuki, sanam! Mein khai ban gaya!
Ab muzamein aur bhishma mein hai fark bas itana:
Meri to baan-sej kaamdev kar gaya!
Mein kah doo uske pahale hee woh khanja gaye,
Pratishabda khayaalon kaa bhee gaalon pe pad gaya!
Aisa thaa tere dil mein mere dil kaa aagaman:
Jaise ke aayane mein mera chehra fans gayaa!
Ghadiyon to is tarha se biti intajaar kee:
Ghooran ghadi ki sooi kaa jigar mein chal gaya
Meri jigar ki is jalan pe kefiyat teri,
Jaise ki dhoonaa kohre ka mehmaan ban gaya